Header Ads

ad

What is white balance in photography

Dosto agar aap apne camera ke manual mode ke sath me ched-chad karte hai  to aapne vha  par white  balance ka  option to jarur dekha hoga hoga or akshar ham usako auto mode par chod dete hai  kyoki camera ka yah feature(White balance) auto mode  me  bhi  bahut hi badiya  result  deta  hai. Yah  90-95% hame ek dam accurate  result deta hai or hame ek  badiya  photo  dekhane  ko  milati  hai.  Lekin dosto   me  aapko  batana    chahunga  ki   agar  aap  isko  manually customize  karte   hai  to   aap  payenge  ki  aap  ko  auto  mode  ke comparison    me  ek  bahut  hi  badiya  result  dekhane  ko  milega.

To dosto jesa ki aapne uper dekha ki White  balance  ko  agar  ham auto  mode par  bhi  rahne  dete hai  to  hame  90-95%  sahi  result dekhane  ko  milate  hai. Lekin  agar  hame 100%  accurate  results chahiye  or  agar ham apni photo ko ek alag hi mood dena chahe to hame White balance ko manually customize karna padega. To abhi sawal ye nikal ke aata hai ki aakhir white balance hota kya  hai. To agar aap janana chahte hai White balance ke bare me sab kuch to is article ko end tak ka jarur read  kijiye. Aaj ke is article  me  hamne hai White balance ke bare me. Whit balance  kya hota   hai ?  Kese ham  isko customize kar sakte  hai ? or  kese  ham  isko  customize karke apni photo  me  ek  alag  hi  mood  create  sakte  hai. 


Dosto akshar ham dekhate hai ki hame photos me color natural nahi milate hai. Matalb object ka jo real color hota hai vo hame nahi milata hai. To iska hota photo click karte time object ke charo taraf ki lighting. Jab light thodi warm tone(Candle light) ya cool tone(fluorescent light) me hoti hai t us time par camera object ke  actual color ko identify nahi kar pata hai or hame photo me vesi hi tone dekhane ko milati hai. Jesa ki niche dekhaya gaya hai.

Neutral Tone
Warm Tone

Cool Tone
To friends jab  hame Unfavorable lights me bhi neutral tone me photo click karni ho to hame camera me white balance karna padata hai. Normal language me dekhe to hame camera ko batana padata hai ki frame me white color konsa hai. Or fir camera uske aadhar par sabhi colors ko manage kar leta hai or hame ek neutral tone me image dekhane ko milati hai.

To hame white balance kese karna hai yah samajhne  se pahale hame yah samajhna hoga ki color temperature kya hota hai. Color temperature ko ham English alphabet ke capital letter 'K' se represent karte hai. 'K' means kelvin. Hame lagbhag har camera me color temperature 2500K se 10000K tak milata hai.



Yah color temperature jitna kam hoga hame photo utna hi cool tone me milega or color temperature jitna adhik hoga hame photo utna hi warm tone me milega. Or jab color temperature ki value 5600K hoti hai to tab hame neutral tone me photo milata hai. Dosto 5600K ka matalab hota hai ek dam white light jo ki hame bahut hi kam bar naturally milati hai. Isliye jab bhi hame white light ki jarurat hoti hai to hame isko khud HMI lights ke dvara create karna padta hai.

To iska matalab hai ki agar natural lighting me photo le or white balance na kare to hame photo me koi na koi tone to jarur dekhne ko milega. To abhi bat aati hai ki ham White balance kese kare kyoki ham apni daily life ki photography ke liye HMI lights ko sath lekar to nahi ghum sakte hai.



  • White Balance kese set kare?
  1. To dosto isme pahala to aata hai ki aap camera me white balance ko auto mode me set kar de. Kyoki jesa ki uper bataya gaya hai ki Auto mode me bhi hame photo ka white balance 90-95% sahi milta hai or yah aapke camera par bhi nirbhar karta hai. Yah bhi possible hai ki aapke camera me white balance 100% tak sahi ho kyoki aaj kal market me jo latest cameras aa rahe hai unme se lagbhag me hame white balance 100% tak sahi milata hai. Lekin agar aap video shoot kar rahe hai to white balance ko auto par na chode isko manually hi customize kare.
  2. Iska dusra tarika hai ki aap camera me diye gaye preset ko use kare. Jesa ki aapne dekha hi hoga ki aapko camera me kuch preset diye hoe hai. Jese sun light, cloudy, incandescent ya fir fluorescent. Aap jesi bhi condition me shoot kar rahe hote hai aap uske anushar koi bhi preset use kar sakte hai. Ab isme aapko kitana achcha result milega yah aapke camera ki quality par nirbhar karta hai.
  3. Dosto white balance ko set karne ka sabse last ya yu kahe to sabse satik jo method hai vo yahi hai. Isme aap camera ko khud batate hai ki frame me actually white kya hai. Or fir camera uske bases par baki sabhi colours ko khud manage karta hai. Or aapko photo me ek dam vo hi color dekhane ko milate hai jo ki really me hote hai. Is setting ko ham Custom White Balance Mode  kahte hain. Isme aapko basically karna ye hota hai ki aapko camera me ek white paper ki ya fir Expodisc ki ek photo click karke camera ko yah batana hota hai ki is frame me yah actual white hai. Fir camera uske bases par baki or colors ko manage karta hai. Dosto jesa ki aapne uper dekha ki agar aap custom white balance mode ke through white balance karte hai to aapko photo me ek dam natural color dekhane ko milate hai. Isliye agar aapko 100% sahi result chahiye to aap Custom White Balance Mode ko use kar sakte hai.

  • Kuch Jaruri Bate
Dosto vese to aap white balance karne ke liye auto mode ko use kar sakte hai. Lekin agar aap video shoot karte hai to aapko auto mode me shoot nahi karna chahiye. Video shoot karne ke liye Custom White Balance Mode ko use karna chahiye. Kyoki agar aap isko auto mode me use karte hai to shooting ke doran agar lighting me thoda bahut change hota hai to camera video kbich me bhi color temperature ko badlata rahega. Jisase ki aapko output sahi nahi mil payega.

Or dosto aap white balance ke sath me khel kar aap apni photo ko ek alag mood bhi de sakte hai yah sab kuch aapki creativity par nirbhar karta hai.

To friends me ummid karta hu ki aapko white balance ka yah concept samjh me aa gaya hoga. Lekin agar aapko koi doubt ho to aap niche comment karke puch sakte hai. Or agar aapko article pasand aaya ho to ise apne dosto ke sath me share kijiye. 



No comments