Header Ads

ad

ISO in photography in hindi

Agar aap interest hai photography me to aapka yah janana bahut hi jyada jaruri hai ki iso kya hota hai ya fir aapne kabhi na kabhi apne smartphone ke camera me ya fir kisi point and shoot camera me ya fir kisi dslr ke manual mode me aapne ISO to jarur dekha hoga or aapke dimag me yah bat jarur aai hogi ki aakhir yah ISO hota kya hai yah kese kam karta hai or yah hamari image ko kese effect karta hai to aapko apne in sabhi sawalo ke jawab aaj is artical me milane vale hai to aap is artical ko last tak ka jarur padiye aaj ke is artical me mene bataya hai ki photography me ISO kya hota hai yah kese kam karata hai or sath hi mene yah bhi bataya hai ki kese ISO apni ek image ko effect karata hai. 

To dosto ISO ke bare me janane se pahale ham pahale thodi history dekh lete hai. Aapko to pata hi hoga ki kuch time pahale tak ham reel vale cameras use karte the me aapko me bata du ki unme jo iso level aata tha vah fix aata tha mera matalab ki ham unme iso level ko customize nahi kar pate the. Or alag-alag situation ke according logo ko alag alag camera use karne padte the. Lekin aaj kal ke cameras me hamko iso ek range ki foam me milata hai. isliye ham usko apni jarurat ke according customize kar pate hai.

ISO.... Dosto kisi bhi camera ka iso level us camera ke sensor ki light(roshani) ke liye sensitivity ko darshata hai. jese ham sab janate hai ki jab kisi bhi chiz se koi light reflect hokar jab hamari eyes me enter karti hai tab hi ham  us chiz ko dekh pate hai usi tarah jab koi light kisi camera me enter karti hai to us time camera ke sensor ki us light ke liye jo sensitivity hogi vahi us camera ka ISO level kahalati hai. Dosto aapko me bata du ki photography ki mainly 3 stambh(pillar) mane jate hai jiname ek ISO bhi hai baki do aperture or shutter speed hote hai. dosto jab tak in tino ka ek badiya combination nahi banayenge tab tak aap ek achchi photo click nahi kar sakte. To agar aapko photography me interest hai to aapko ISO ke bare me janana bahut hi jyada jarurai hai.  

Dosto aap ne dekha hoga ki iso hame 100,200,400,800........ ki foam me milata hai. to yah jo no. hai vah camera ke sensor ki light ke liye sensitivity ko indicate karta hai. To iska matalab yah nikalata hai hai ki yah no. (ISO) jitana jyada hoga hamko utni hi jyada bright image dekhane ko milaegi. LEkin iska matalab yah bilkul bhi nahi nikalna chahiye ki hame highest iso me hi koi bhi picture click karni chahiye. To fir hame ISO ko kese kam me lena chahiye.......?  Iske liye aap is article ko last tak ka padiye.

  • How to use ISO.............?
To friends jesa ki aapne uper dekha ISO camera ke sensor ki sensitivity ko indicate karta hai to iska matalab ISO jitana jyada hoga hame image utni hi exposed (bright) image outout me milegi Lekin aap bhi jante hai ki hame ek balance exposer ki image ko hi ek achchi image kah sakte hai. To dosto jab bhi ham low lighting condition me photography karte hai to hame hame hamari photo ka exposer ek dam low milata hai To hame low lighting condition me ISO ko increase karne ki jarurat hoti hai. Lekin agar hame ISO ko ek had se jyada bhi nahi badana chahiye iska karan bhi niche detail me bataya gaya hai.


iso in photography
ISO in photography


To dosto abhi aap uper jo image dekh rahe hai use dekh kar to aap samajh hi gaye honge k ISO hamari low lighting condition me kitani help karta hai. isme aap jo aap pahali image dekh rahe hai vo mene ISO 100 me capture ki hai jo ki achchi tarah se exposed nahi hai. or vahi mene usi lighting condition me dusari vali image click ki hai lekin usme mene ISO ko 100 se badha kar 800 kar diya jisase ki image ko ek achcha exposer mil gaya or hame output me ek badiya image dekhne ko mili.

To aage yah sawal nikal kar aata hai ki aakhir hame ISO ko jyada kyo nahi badhana chahiye .....? To dosto iska jawab yah hai ki jab  ham ek limit se jyada ISO ko increase karte hai to hame photo me bahut jyada noice dekhane ko milata hai.


iso in photography
ISO in photography

To friends aap is photo me dekh rahe hai ki jo pahali image hai vo ISO 800 par click ki gayi hai or vahi jo dusari image hai vo ISO 1600 par click kari gayi hai. To aapko dono me anter aashani se pata chal raha hoga pahali image me jaha aapko bilkul bhi noice dekhane ko nahi mil raha vahi dusari image me hame noice bahut hi jyada dekhane ko mil raha hai. Isaliye hame jaha tak ho sake ISO ko level ko kam se kam rakhane ki koshish karni chahiye. JIsase ki hame ek noise free image mil sake. Or agar lower iso me hame exposer sahi mil pata hai to ham shutter speed ko bhi thoda kam kar sakte hai ya fir aperture ko thoda or khol le to hame sahi exposer mil jayega.

To dosto me aasha karta hu ki aapko yah jo concept hai ISO ka samjh me aa hi gaya hoga lekin agar ab bhi aapke dimag me koi sawal hai ISO ko lekar to aap niche commen box me puch sakte hai.

3 comments:

  1. I admire what you have done here. I like the part where you say you are doing this to give back but I would assume by all the comments that this is working for you as well. Dslr camera price in pakistan

    ReplyDelete