Header Ads

ad

What is aperture in camera (Importance of aperture in photography)

Agar aap use karte hai ek smartphone ka camera ye fir ek DSLR ya to ek point and shoot camera To aapne unke specs me aperture ka nam to dekha hi hoga. To us time aapke dimag me yah question jarua aaya hoga ki aakhir aperture hota kya hai, kese yah kam karta hai, kese yah apni images ki quality ko increase ya decrease karta hai, or kya importance hai aperture ki photography me. To agar aap janana chahte hai is bare me to is article ko end tak ka jarur read kijiye. Aaj ke is article me hamane bataya hai aperture ke bare me aperture kya hai, kese yah kam karta hai, kya importance hai aperture ki photography me. 


what is aperture


To dosto agar aap photography me interest rakhate hai to aapke liye yah janana bahut hi jyada jaruri hai ki aperture kya hai or iski kya importance hai photography me. Dosto aapko me bata du ki photography ke mainly 3 satamb(pillar) hote hai jiname se ek aperture hai or baki do ISO or shutter speed hote hai. Jab tak aap in tino ka ek achcha combination nahi bana lete tab tak aap ek achchi photo click nahi kar sakte. To ek achchi photo ke liye in tino ka achcha knowledge hona bahut hi jyada jaruri hai.


what is aperture


Aapko pata hi hoga ki ek achchi photo ke liye light ke ek khas amount ka camera ke sensor par aana bahut jaruri hai agar jyada light aayegi to image over exposed ho jayegi or agar kam light aayegi to image under exposed ho jayegi. To sensor par aane vali light ko control karna bahut hi jyada jaruri ho jata hai. To camera me enter hone vali light ko ham do tarah se control kar sakte hai ek to shutter speed or ek aperture  

  

  • Aperture kya hai?

To dosto aperture camera ki opening hoti hai jaha se light camera me enter karti hai. To agar ham camera ki opening ki size ko control kar le to ham kafi had tak camera me enter hone vali light ko control kar sakte hai.To sidhi si bat hai aperture jitana bada hoga utani hi jyada light camera me enter karegi.

Aperture ko ham normally english alphabet ke lettter F ke sath likhate hai jese agar aperture 1.7 hai to isko ham  F-1.7 ya fir F/1.7 ke rup me likhate hai. Yaha par ek dhyan me rakhane vali bat ye hai ki  ye number jitana bada hoga aperture utna hi chota hoga. Or ha yaha par logo ko bahut hi jyada confusion hota hai.

Aapko jyada kuch yad rakhane ki jarurat nahi hai aapko sirf itna hi yad rakhana hai ki yah no. jitana jyada hoga camera ka aperture utna hi chota hoga matalb camera ki opening utani hi choti hogi or ye no. jitana chota hoga opening utni hi badi hogi matalab utani hi jyada light camera me enter karegi. 


what is aperture

To abhi tak aap ye to samajh hi gaye honge ki aperture kya hota hai or kese kam karata hai. Lekin abhi question ye aata hai ki isko use kese karna hai ? To friends jesa ki aapne uper pada hai ki aperture photography ka ek bahut hi jaruri part hai to hame esko kam me lena bhi aana chahiye. Hame kab aperture ko increase karna or kab decrease karna hai ?

To friends iska javab yah hai ki jab bhi ham low lighting condition me photography karte hai to hamara object achchi tarah se expose nahi ho pata hai. Or tab hame aperture ko badhane ki jarurat padati hai Yaad rahe ki bada aperture matalab badi opening or jyada light. Or jab jyada light camera me enter karegi to hame automatically ek achchi tarah se exposed image milegi.

Or dosto ek or bat aperture camera ko shallow depth of field ko identify karne  me bhi help karta hai. Isliye yaha par bhi Aperture ko customize karke achchi tarah se apne object par focus karke ek achcha bokeh effect prapt kar sakte hai.  


To friends yaha tak to bat hui aperture kya hai kese yah kam karata hai or ham isko kese use kar sakte hai. Or abhi ham dekhenge ki smartphones ke cameras me, point & shoot cameras me or dslr me aperture kis tarah se alag-alag hota hai.

To agar aap smartphone ka camera use karte hai to aapko pata hi hoga ki vaha par aapko aperture fix milata hai jisko aap change nahi kar sakte ek bar jo aapko mil gaya usko hi aapko use karna hai. Isliye jab bhi aap koi smartphone purchase kare to bade se bade aperture ka camera purchase kare. Or agar aap ek point & shoot camera use karte hai to vha par aap aperture ko change to kar sakte hai lekin aapko vha par kuch fix options hi milate hai. 

Or abhi bat aati hai DSLR ki to agar aap ek dslr use karte hai to vha par aapko aperture ek range ki foam me milata hai jisko aap apne anushar customize kar sakte hai. Abhi ek or jaruri bat ki aap smartphone ke aperture ko ek dslr ke aperture se compare nahi kar sakte. For example Agar aapke smartphone ka aperture f/1.7 hai or aapke dslr ka aperture aapne f/2.7 par set kar rakha hai to aap yah nahi kah sakte hai aapke smartphone ke camera ki opening aapke dslr ki opening se badi hai. Iska reason ye hai ki jo aperture hai vo or bhi bahut se fectors par depend karta hai jese kik aapke camera ke lens ki focal length par. Kul mila kar aap ek camera ke aperture ko kisi dusare camera ke aperture se compare nahi kar sakte.

To friends me ummid karta hu ki aapko aperture ka yah concept clear ho gaya hoga agar aapko koi confusion hai to aap yah video watch kar sakte hai ya fir niche comment box me puch sakte hai.


No comments