Header Ads

ad

What is Shutter Speed in camera ?(Photography in hindi)

Dosto agar aap use karte hai ek smartphone ka camera ya fir ek DSLR ya to ek point & shoot camera To aapne kabhi  na kabhi vha par shutter speed se related kuch to jarur dekha hoga or aapke dimag me jarur aaya hoga ki aakhir kya hoti shutter speed, kese yah kam karati hai. To aap is article ko last tak ka jarur read kijiye aaj ke Is article me mene bataya hai shutter spead ke bare me. shutter speed kya hai or kya importance hai shutter speed ki photography me.

Dosto sabse pahale aapko me yah batana chahunga ki shutter speed photography ke un 3 stambo(pillar) me se ek hai jinke bina aap photography ki shuruaat bhi nahi kar sakte hai. baki do hai ISO or Aperture. Agar aap ek achchi photo click karna chahate hai to aapko ISO, Aperture or shutter speed me ek achcha combination stable karna hoga.

  • Shutter Speed kya hai

To dosto jesa ki aapko to pata hi hoga kisi bhi photo ko click karne ke liye hame light ki jarurat hoti hai or jaha se camera me light enter hoti hai vaha par ek shutter laga hota hai jo ki ek fix time ke liye open hota hai. To us shutter ke open or close hone ki speed ko hi ham shutter speed kahte hai. Or ham shutter ki is speed ko control karke apni photo ko ek badiya look de sakte hai.


Dosto kisi bhi camera me ham shutter speed ko seconds ki foam me dekhate hai. Jese agar kahi par agar likha hua hai 1/500 To iska matalab hai ki camera ka shutter 1 second ke 500 ve bhag ke liye open ho raha hai. Aapko yaha par jyada confuse hone ki jarurat nahi hai Aapko sirf itna dhyan rakhana hai ye no. jitana jyada hoga shutter speed bhi utni hi jyada hogi or shutter kam time ke liye open hoga.Yaha par aapko ek bat or dhyan rakhani hai ki agar shutter speed 1 se jyada hoti hai to vaha par speed ke aage aapko quotation mark dekhane ko milega. jese ki agar shutter speed 2 second hai to aapko 2" likha hua milega or agar speed 1 second hai to vha aapko 1" likha hua milega.


Shutter speed jitni jyada hogi shutter utane hi kam time ke liye khulega or utani hi kam light camera me enter karegi. Or shutter speed jitani kam hogi hogi shutter utane hi jyada time ke liye open hoga or utani hi jyada lite camera me enter hogi.  

  • Shutter speed ko kab, kyo or kese customize kare

To dosto abhi tak hamne dekha ki shutter speed kya hoti hai or kese kam karti hai. Abhi ham dekhenge ki hame shutter speed ko istemal kese karna hai. To dosto iska pahala use to yah ki ham isase camera me aane vali light ko control kar sakte hai. Jab hamare pas me camera ka aperture locked ho to ham us situation me bhi shutter speed ke through camera me aane vali light ko control karke photo ko ek achcha exposure de sakte hai. Sath hi ham iska istemal tab bhi kar sakte hai jabaki hamara object kafi jyada movement kar raha ho or hame ek stable photo click karne me dikkat ho rahi ho. Abhi ham dekhate hai ki kab hame shutter speed ko slow or kab fast karna hai.


fast & slow shutter speed example
Fast & slow shutter speed example


Dosto is photo me aap jo pahali photo dekh rahe hai vo fast shutter speed me click gayi hai or dusari usase kam or tisari usae bhi kam shutter speed me yani slow shutter speed me click ki gayi hai.



Shutter Speed Chart
Shutter Speed Chart


Or aap is chart ko dekh kar achchi tarah se samajh sakte hai ki aap shutter speed ko kese istemal kar sakte hai apni photography me.


  •  Slow shutter speed 

Dosto vese to aapki creativity par depend karta hai ki aap kis tarah se camera ke is behtarin feature ko istemal karte hai. Lekin iske kuch basic uses ke  bare me niche bataya gaya hai.


  1. To dosto jesa ki aapko pata hai ki agar shutter speed slow hogi to camera ka shutter jyada time tak khulega or camera me jyada light enter karegi. Isaka yah fayada ho sakta hai ki aapki photo ko ek achcha exposer mil jayega. Jisase ki aap low lighting conditions me bhi ek tarah se exposed image click kar payenge. Lekin condition hai ki object me bilkul bhi movement nahi hona chahiye. Kyoki agar aapka object movement karta hai to aapko apni photo blur dekhane ko milega.
  2.  Dosto agar camera ka  shutter jyada der tak khulega to is time period me  aapka   object agar move karta hai to aapko vaha par blur dekhane ko milega. To camer   ke is   feature ko   aap apni image me kuch blure effect dene ke liye bhi istemal   ka  sakte  hai  Vese to  koi  bhi photo ko  blur  nahi   karna  chayega  lekin  aap apni  creativity ka istemal karke isase  bahut hi behtarin shots capture kar sakte  hai.

Note:- Agar aap slow shutter speed ka use karte hai to aapko camera ko kisi tripod par mount karna hoga ya fir kisi bhi tarah se use stable karna hoga. Kyoki agar shutter ke khulane or band hone ki bhitar aapka camera thoda bahut bhi shake hota hai to aapko photo me blur dekhane ko mil sakta hai.

Slow Shutter Speed Image
Slow Shutter Speed Image

Jese yah photo camera ko tripod par mount karke 3" ki shutter speed par capture ki gayi hai. Isme pani ke alava jo kuch bhi hai vo sab kuch stable hai or pani me moment ho raha  hai or pani me ho rahe moment ke karan vo blur hokar vo hame dudhiya dikhai de raha hai. Or ek bahut hi achchi image hame dekhane ko mil rahi hai. 

    3. Or dosto kabhi  kabhi hame  slow  shutter  speed me natural   density filter ka bhi          istemal    karna padta hai jab  ham slow shutter speed ka istemal object  ko  blur          karne ke liye karte hai or photo over expose ho jata hai. Tab ham filter ka istemal           karke exposer ko down bhi kar sakte hai

  • Fast shutter speed

Dosto jesa ki aapne uper slow shutter spead ka example dekha usase aapko idea to lag hi gaya hoga ki aap kis tarah se fast shutter speed ka use kar sakte hai. Dosto ham fast shutter speed ka istemal karke kisi bhi moving object ko freeze kar sakte hai. Jese ki ham bahut bar dekhate hai ek banduk se nikali hui goli ki image ya fir kisi match ke doran kisi player ko hava me latke huye. To yah sab fast shutter speed ke hi example hai. 
  • F-Rule
Or dosto shutter speed me aapko jyada hi confusion hai to aap F-Rule ko bhi dhyan me rakh sakte hai. Jisme F se matalab hai fast or freeze ka. matalab aapko object ko freeze karne ke liye shutter ko fast karna padega.

Fast shutter speed me hame tripod ki jarurat nahi hoti hai. Kyoki fast shutter speed me photo bahut fast click hota hai jisase hand sack hone ke chances na ke barabar hote hai. To ab tak to aap samjh hi gaye honge ki ham fast shutter speed ka istemal ham moving objects ko click karne me karte hai. 

Fast shutter speed Image
Fast shutter speed Image


Dosto is type ki photos aapne bahut bar dekhi hogi. Me aapko bata du ki is tarah ki sabhi photos fast shutter speed me click ki jati hai. Aap dekh rahe ki isme pani ki ek ek bund alag najar aa rahi hai.


Fast shutter speed image
Fast shutter speed image


Dosto yah bhi ek fast shutter speed me click ki gayi photo hai. Isme bhi aap dekh rahe ki pani ki ek ek bund alag alag dekhi de rahi hai. To Aap bhi is tarah ki bahut hi creative photos click kar sakte hai Fast shutter speed me.

To dosto me ummid karta hu ki aapko shutter speed ka yah concept samjh me aa gaya hoga. Aap samjh gaye honge shutter speed kya hoti hai yah kese kam karati hai. or iski kya importance hai photography me. Or agar aapko koi abhi bhi shutter speed ya or bhi  photography related koi pareshani ho to aap niche comment box me mentoin kijiye me aapke sawalo ke jawab dene ki puri puri koshish karunga.

Or aapko yah post kesi lagi niche comment karke jarur bataye taki ham aapke liye ase hi or bhi majedar article late rahe. Or ise apne dosto ke sath facebook, twitter or instagram par share kijiye taki vo bhi jan sake photography ke is bahut hi behtarin feature ko.

9 comments:

  1. nice blog keep share Enforcement Logix Speed Camera lets you track and photograph speeders to better enforce speed limits on your roads.

    ReplyDelete
  2. You know your projects stand out of the herd. There is something special about them. It seems to me all of them are really brilliant! Austin Drone Videography

    ReplyDelete
  3. It's really nice and meanful. it's really cool blog. Linking is very useful thing.you have really helped lots of people who visit blog and provide them usefull information. aerial photographymatterport Austin

    ReplyDelete
  4. I quite like reading an article that can make people think. Also, thanks for allowing for me to comment! svenstudios

    ReplyDelete
  5. I think that thanks for the valuabe information and insights you have so provided here. Teleprompter operator Los Angeles

    ReplyDelete
  6. wow, great, I was wondering how to cure acne naturally. and found your site by google, learned a lot, now i’m a bit clear. I’ve bookmark your site and also add rss. keep us updated. apartment photography

    ReplyDelete
  7. This is also a very good post which I really enjoyed reading. It is not every day that I have the possibility to see something like this.. Austin TX Real Estate photography

    ReplyDelete