Header Ads

ad

Whatsapp business (Whatsapp new service)

Dosto aapko to pata hi hoga ki facebook ki sister company whatspp ne sep 2017 me apni ek nayi service whatsapp business ke bare me bataya tha. To aapko bata de ki whatsapp ne apni is nayi whatsapp business service ko launch kar diya hai. To is article me hamne isi ke bare me detail me bataya hai. To agar aap janana chahte hai is  bare me to is article ko suru se lekar aakhari tak jarur read kijiye.

Whatsapp business
Whatsapp business

  • What is Whatsapp Business application

To friends yah jo whatsapp business application hai yah khas tor se launch hui hai small businesses le kiye taki vo apne users or customers se ashani se communicate karke apne business se grow kar paye. Jaha tak bat aati hai user interface ki to whatsapp business me bhi aapko almost standard whatsapp ke jesa hi interface dekhane ko milata hai.

 Sep 2017 me hi whatsapp ne iske bare me bata diya tha or abhi 2018 me whatsapp ne ise officially launch kar diya. halanki starting me whatsapp ne ise kuch country me hi launch kiya tha. (Mexico, indonesia, itali, UK, US) Lekin abhi isko india me bhi launch kar diya gaya hai. Aapko bata de official launch se pahale whatsapp ne apni is service ko pahale india or brazil me testing  ke liye lauch kiya kiya tha. aapko bata de india world me sabse jyada whatsapp users vala desh hai.

  • Who can use use Whatsapp Business 

Jo bhi log koi business chalate hai vo whatsapp ki whatsapp business service ko use kar sakte hai. Jaha tak bat aati hai charges ki to yah bhi standard whatsapp ki tarah hi bilkul free launch kiya hai. Aap standard whatsapp or whatsapp business dono ko ek hi smartphone me ek sath use kar sakte hai. Lekin ek no. se dono ko use nahi kar sakte iska matalab aapko standard whatsapp or whatsapp business ke liye alag alag no. ki jarurat hogi. Or ek or bat whatsapp business sirf android 4.0.3 se uper ke android version par hi kam karega.



  • Whats new in Whatsapp Business 

To dosto standard whatsapp or whatsapp business ka jo interface hai almost similar hi hai. Lekin aapko isme kuch additional feature milate hai jisase ki aapko apne business ko grow karne me help milegi. aapko iska kuch esa interface dekhane ko milega.

Whatsapp business
Whatsapp Business

Whatsapp business khas tor se chote businesses ko dhyan me rakhakar banaya gaya hai jisase ki vo bhi ek messaging platform ko join kar sake. Isme chhoti companiya apni business profile bana sakti hai jisme apne business ki jankari contact email adders or apni website aadi ki jankari de sakti hai. Taki vo customers ke sath me achche se communicate kar paye. Iske sath hi isme users ko smart messaging tool provide kiya gaya hai jisase ki users bar bar puche jane vale questions ke liye quick reply set kar sakte hai. Sath hi new customers ke liye welcome message ya greetings bhi set kar sakte hai. Sath hi isme ek or bhi feature available hai jisme users apne working hours set kar sakte hai. fir agar koi business hours ke bad me ya pahale message karta hai to unke liye bhi ek default message set kar sakte hai.

Sath hi sath ek bat aapko or batana chahenge ki ek bar aapne jo apne business ki profile set kar di vo hi fir permanently set ho jayegi future me usko change nahi kar sakte. isliye soch samjh kar dhyan se apne business ki profile set kare.


Sath hi sath isme aapko standard whatsapp ki tarah hi whatsapp web ka bhi option dekhane ko milata hai. Or baki jo bhi feature apne ko standard whatsapp milate hai vo sabhi feature apne ko is whatsappp business me milate hai. Aapko bata de ki pure world me lagbhag1.3 bilion log whatsapp ko use karte hai. Aap whatsap business ko play store se download kar sakte hai. Abh yah sirf android users ke liye hi hai or jaldi hi yah i phone users ke liye bhi aa jayega.


Ek study company morning consult ke dvara ki gai ek study me paya gaya ki india or brazil ke 80% chote karobariyo ko lagat hai ki whatsapp business unke liye kafi helpfull sabit hoga.


To friends aapko yah sab hi milata hai whatsapp ki is nayi service whatsapp business me To aapko yah servic or  yah article kesa laga niche comment karke jarua bataye. Taki ham aapke liye esi hi nayi nayi tech update late rahe. Or agar aapko koi confusion hai is bare me to niche comment karke bataye me aapke sawalo ke jawab dene ki puri puri koshish karunga.


Sath hi sath hamare youtube channel Tech Lion ko bhi subscribe kare vaha par bhi ham esi hi kamal ki technical information dalte rahte hai. or follow kijiye hame twitter instagrame or facebook par.

4 comments:

  1. The technology boom has given rise to innovations in how data is used. Business analytics is the solution and the best move to ensure competitiveness in today's era. To define the term. business

    ReplyDelete
  2. cool stuff you have got and you keep update all of us. Auto Reply for WhatsApp

    ReplyDelete
  3. This is my first time visit to your blog and I am very interested in the articles that you serve. Provide enough knowledge for me. Thank you for sharing useful and don't forget, keep sharing useful info: Clipping Path Easy

    ReplyDelete
  4. "Your team’s professionalism and dedication are truly commendable." https://vigiato.net/p/501905

    ReplyDelete