Header Ads

ad

What is HDR...How its Work...?

Dosto aapne apne smartphone ke camera me ya fir DSLR me ya fir kisi point&shoot camera me aapne HDR mode to dekha hi hoga. us time aapke dimag yah question jarur aaya hoga ki aakhir yah HDR hota kya hai ...HDR fayde kya hai .......HDR kab use karna chahiye or kab use nahi karna chahiye. To aapko apne in sabhi question ka answer is artical me milane vala hai. is article me mene bataya hai HDR or HDR+ ke bare me.

  • HDR kya hota hai 
HDR ki full form hai High Dynamic Rang. high dynamic range ko samjhane se pahale ham samjhte hai ki dynamic range kya hoti hai. Jab bhi aap koi image click karte hai to aapke photo ki frame me light ka ratio do bhago me divide hota hai jinme ek part bahut jyada chamkila hota hai jabaki dusara part ek dam dull hota hai. to is frame me light ka jo ye ratio hai ise hi ham dynamic range bolate hai. or jab yah ratio bahut jyada hota hai to ham ek detail picture click nahi kar pate. kyoki apna camera apne exposure ko achche se set nahi kar pata hai.  





  • HDR ko kab use karna chahiye
Jab bhi apne ko koi kisi ese object ki photo click karni hoti hai jiske piche se kafi jyada light aa rahi hoti hai ya fir us object ke ek bhag par bahut hi kam roshani hai jabaki dusare bhag par kafi jyada roshani ho to hame us time HDR mode ka use karna chahiye. kyoki is condition me camera exposure ko achche se set nahi kar pata hai or or ham kam roshani vala bhag ek dam dull or jyada roshani vala bhag bahut jyada chamkila dikhai deta hai jisase ham ek detail image capture nahi kar pate hai. 
  • HDR kam kese karta hai 
dosto jab bhi ham apne camera me HDR mode ko use karte hai to camera ek nahi balki ek ke bad ek karke vah total 3 photo click karta hai or fir software ki madad se tino image ko combine karke hame output me ek image milati hai. HDR mode me camera jo pahli photo click karta hai vah higher exposure me click karta hai jabki dusari normal exposure me or tisari image ko vah lower exposure me click karta hai. camera higher exposure me jo image click karta hai usme image ka jo low light ka  erea hota hai vah puri detail ke sath me aata hai. camera jo dusari image click karta hai usko vah Normal Exposure me click karta hai. Camera jo tisari image click karta hai usko vah lower exposure me click karta hai jisase ki photo ka jyada bright area bhi hame datail ke sath dekhane ko milata hai. in sab ke bad me camera software ke jariye in tino image ko merge karke hame ek final image output me deta hai. jo ki kafi detail image hoti hai.





  • HDR kab use nahi karna chahiye 
dosto jab ham kisi hilate huye object ko click karte hai to hame HDR ka  use nahi karna chahiye. kyoki jesa ki hamne uper bataya hai HDR mode me camera yin photo click karta hai to jab object move karega to tin tino images me object ki position me anter aayega or image processing ke bad hame ek dam kharab image dekhane ko milegi. or ek jab ham low light me photo click karte hai to hame HDR ka use nahi karna chahiye. kyoki jab  camera lower exposure me photo click karega to low lighting me vah clear nahi aa payegi or hame output achcha nahi milega.
  • What is HDR+
dosto jesa ki hamne aapko HDR ke bare me bataya vahi aaj kal ek or nam nikal kar samne aa rha hai jo hai HDR+. To dosto ham aapko bata de ki hal hi me launch huye google ke pixel phones me hame HDR+ mode dekhne ko milata hai. dosto jesa ki hamane uper aapko bataya ki HDR mode me camera ek sath 3 image click karta hai vahi HDR+ mode me camera ek sath 15-30 photo click karta hai alag alag exposure me. to dosto HDR+ mode me hame HDR mode ke comparison me badiya result dekhane ko milate hai. To dosto ham esa bhi kah sakte hai ki google ne apne pixel phones me HDR ko ek level se uper use kiya hai jo ki ek bahut hi achchi bat hai.
  • conclusion
to dosto me asha karta hu ki aapko HDR se related aapke sare sawalo ke jawab mil hi g aye honge. jese HDR kya hota hai...? HDR kam kese karta hai....? HDR ko kab use karna chahiye ....?HDR ko kab use nahi karna chahiye.? HDR ke fayde kya hai....? Or Agar aapke dimag me ab bhi koi sawal hai HDR ko lekar to aap niche comment karke puch sakte hai. To agar aapko yah article achcha laga ho to follow kijiye hame or share kijiye ise apne dosto ke sath me.

No comments