How to compress video size in windows
Dosto is article me mene bataya hai ki kese aap apne videos ki size ko kam (compress video size) kar sakte hai vo bhi bina unki quality ko lose kiye. Friends akshar aapne dekha hoga ki jab bhi ham apne smartphone ke camera se ya fir kisi bhi other camera se jab bhi koi video click karte hai to uski size bahut hi jyada ho jati hai jisase us video file ko store karne me hame bahut hi jyada dikkato ka samna karna padata hai. Friends ham jo movies dekhate hai vo lagbhag 2-3 ghante ki hoti hai lekin unki size hamari 2 minute ki video se bhi jyada hoti hai. To me aapko bata du ki un movies ki size bhi bahut hi jyada hoti hai lekin bad me unko compress kiya jata hai. To aaj ke is article me aapko bataunga ki kese aap bhi apne computer ke jariye apne videos ki size ko badi hi aashani se compress (compress video size) kar sakte hai vo bhi bina unki quality ko lose kiye. To agar aap yah sikhana chahte hai to is article ko pura padiye ya phir aap is article ke last me diye gaye video ko dekh kar bhi yah sikh sakte hai.
To dosto iske liye pahale aapko apne laptop ya pcme ek software ko install karna hoga jiska nam hai handbrake. Dosto yah sirf 10 mb ka ek chota sa software hai jisko aap badi hi aashani se install kar payenge. FOR DOWNLOAD HANDBRAKE CLICK HERE
To abhi aapko simply handbrake ko open karna hai iske bad aapko us video file ko choose karna hai jise aap compress (compress video size) karna chahate hai.
- Is par click karke us video file ko choose karo aapko jiski size ko compress karna hai.
2. Yha se agar aap chahe to apne video ko crope kar sakte hai. aap jis side se chahe us side se apne video ko crope kar sakte hai.
3. Abhi aapko video par click karna hai
4. yaha se aap apne video ki quality ko customize kar sakte hai. Aap iska no. jitna kam rakhenge aapke video ki size utni hi kam compress hogi or jitna jyada rakhenge utni hi jyada compress hogi. Mere anushar aapko ise 20-25 rakhana chahiye is range me video ki quality bhikam nahi hoti hai or video ki size bhi bahut kam ho jati hai. Aap is number ko jitna jyada karenge utna hi aapke video ki size to jyada compress hogi lekin video ki quality utni hi kharab hogi. isliye aap use jyada na hi badaye to achcha hoga.
5. Yaha par aapko aapke videos ke liye kuch preset diye gaye hai. agar aap apni video ko quality or size ko khud customize nahi karna chahte to yaha se aap apne anushar koi preset bhi choose kar sakte hai. yaha se aapka kam thoda jaldi ho jayega.
6. Jab aap video ki quality or size ko puri tarah se customize kar chuke ho to aap yaha se output me milane vale video ka preview bhi dekh sakte hai. or fir agar aapko vah pasand aaye to aap step 7 ki or bad sakte hai or agar thik na lage to use aap fir apne anusar customize kar sakte hai.
7. Yaha se aapko vo location choose karni hai jaha par aapko video ko render karna ho. (compress video size)
8. Jab aapne puri setting achchi tarah se complete kar li ho tab aap yaha se video ki size compressing ko start kar sakte hai.
9. Yaha se aap video ko render hone ki process ko dekh sakte hai. yah kitana time lega yah aapke device ke configuration or aapke video ki size par nirbhar karta hai.
To friends agar aap in steps ko sahi tarike se follow karte hai to badi hi aashani se kisi bhi video ki size ko compress kar sakte hai. or agar aapko koi problem ho to aap niche comment karke bhi puch sakte hai. ya phir aap video ke jariye bhi yah samajh sakte hai.
Or dosto aapko me bata du ki is tarike se video size compressing (compress video size) me chahe jitani size video ki reduce kar sakte hai. yah aapke hatho me hota hai ki aapko kitni size reduce (compress video size) karni hai aap jitni jyada size reduce karenge video ki quality utni hi kam hoti jayegi isliye aap video ko jyada compress na kare.
sath hi me aapko yah bhi batana chahunga ki yah handbrake software windows mac or linux tino ke liye available hai. or yah bilkul free tool hai aap chahe jitna ise free use kar sakte hai aapko iske liye koi extra charges pay karne ki jarurat nahi hai. isko use karne ke liye aapko internet connection ki bhi jarurat nahi hai. Aap isko offline hi use kar sakte hai.yah ek free tool hai. lagbhag sabhi log video compressing ke liye isi software ka use karte hai.
To aapko yah article kesa laga niche comment karke jarur bataye taki ham aapke liye ese hi majedar topics par article late rahe. sath follow kijiye hame twitter instagrame or facebook par hamare youtube channel tech lion ko bhi jarur se subscribe kare vaha par bhi me aap logo ke liye bahut hi majedar videos lata rahta hu.
Post a Comment